Sewa, samarpan, sashaktikaran
सेवा । समर्पण । सशक्तिकरण. SAKAAR ki mohar par likhe yeh teen shabd hi uska kaam hain.
SAKAAR
India Development and Empowerment Council
Main SAKAAR ka Chairman hoon. Council ki soch hai: sashakt Bharat, samarth Bharat. Aur uska motto: Empowering people. Enabling futures.
Client ki files mein jo discipline lagta hai, woh yahan bhi lagta hai. Saaf governance, har rupaye ka hisaab, aur kaam jo nateejon se naapa jaaye, sirf events se nahi.

Safidon
Nav Bharat Sewa Sanstha
Safidon ki skill training par kaam karne wali charitable society, jiska main Secretary hoon. Yahan ki soch seedhi hai: certificate deewar par lagta hai, skill ghar ki kamai badalta hai.
Judna chahte hain
Training, CSR ya volunteering
Agar aap training partner, CSR ke through support, ya volunteer ke roop mein judna chahte hain, to seedha baat kariye.